Ek baar phir kaho zara
ki
Meri sari kayanaat teri ek nigah par nisaar hai
Meri teera-e-zindagi ka noor tu
Janat arze main rashq hoor tuu
Lazat-e-jaan rahat kalab hezeen
Eshrat nazara mehveesh mahjabeen
Ek baar phir kaho zara
ki
Tu bohot haseen hai
Nigah me shabaab ka khumaar hai
Sharm ke parde me peenah shokhiyaan
Muskarahat me nehaa soo bijiliyaan
Har ada teri mujhe margub hai
Deyhar ki har cheez se mehboob hai
Ek baar phir kaho zara

No comments:
Post a Comment