![](https://lh3.googleusercontent.com/blogger_img_proxy/AEn0k_u0puAy1izGFBTaL_pd3N5Y_NC6OKK5hm-Nr1SjFOVi9oXNak_C1CSm8SbnaXzAcipGqDn9wbr6xkStmkBLNqQLesM0mSltoHtLxcfwtYrRKp9XP9I-1ZlSqwRFUfw9=s0-d)
Jab purkarun tujhe kabhi bhi,
Chali aana duniya ko chhodkar,
Jab tamnna ho tumse milne ki,
Chali aana rashmo ko todkar.
Jindagi ban gayi ho tum meri ab to,
Chahunga tumhe mein sabko bhoolkar.
Tujh bin ye dil tanha rahta hai,
Gum-e-judae ka dard ye sahata hai.
Jab pade jarurat tumhari kabhi bhi,
Chali aana rashmo ko todkar.
Tu hai sath to har khushi milti hai,
Tumse milkar duniya jannat banti hai.
Khwahish ho apna banana ki kabhi bhi
Chali aana rashmo ko todkar.
Har pal har lamha sath rahunga mein,
Tumhe har pal ese hi chahunga mein.
Aajmana ho jab kabhi bhi,
Chali aana rashmo ko todkar.
Jab purkarun tujhe kabhi bhi,
Chali aana duniya ko chhodkar,
Jab tamnna ho tumse milne ki,
Chali aana rashmo ko todkar.
|
|
|
No comments:
Post a Comment