Dil Se

Dil Se

Monday, February 7, 2011

thahar gaya tha koi waQt ki nishani ban ke


thahar gaya tha koi waQt ki nishani ban ke
wo bhi beh gaya aaj aankhoN ka pani ban ke


ek umar se sambhala tha humne jo dariya
baha le gaya woh usse ek raat tufaani ban ke

ajab kashmokash se guzar chuki yeh zindagi
ab reh gai haiN sirf ek dard-e-kahani ban ke

naa rahi koi khawahish ab is dil meiN bas
jeeye ja rahe haiN bemohabbat jawani ban ke

kab talak jee sakenge yun tanhaa , jane
kab chale aaye maut ek shaam virani ban ke

No comments:

Post a Comment