Aaj hawan ka jhoka jaise kuch keh raha hai,
warna yuhi deewar par lataki hue tumhari tasweer na heele hote,
baarish ke boonden, jaise koi sandesha,
in band khirkiyon par likh rahe ho,
aaj pata nahi kyon, hamare ghar par baith kar kauwa,
kau-kau kar raha hai,
barson se band tha jo kamra hamara,
na jaane kyon aaj us kamre main jaane ko mera dil kar raha hai,
wo kursi tumhari, jo dhool se bhari huyi hai,
wo deeware jo chatak kar lakeere bana chuki hai,
dhoop jo baar-baar tuthe hue band kamre se aandar aana chah rahe hai,
aaj pata nahi kyon hawaon ka jhoka jaise mujhse kuch reh raha hai.....
na jaane kyon aaj meri nigahe gaon ke us dur chourahe par tak-taki lagaye baithe hai,
na jaane kyon aaj martbaano main rakha hua aachar se mehak mujhe aa rahe hai,
na jaane kyon aaj tumhari aawaz dur gagan se, maire kaano me sunayi de rahe hai,
aaj pata nahi kyon hawaon ka jhoka jaise mujhse kuch kehna cha raha hai,
warna tumhari deewar par latki hue tasweer na heele hote.....
aaj pata nahi kyon........ ....
No comments:
Post a Comment