Faasle aise bhi honge yeh kabhi soocha na tha
faasle aise bhi honge yeh kabhi soocha na tha,
saamne betha tha mere aur woh mera na tha
woh khushboo ki tara pheela tha mere char soo,
main use mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha
raat bhar pichli si aahat kaan main aati rahi ,
jhaank kar deekha gali main koi bhi aaya na tha
aaj usne dard bhi apne alehda kar liye ,
aaj main roya to mere saath wo roya na tha
yeh sabhi weeraniyan uske juda hone se thi ,
annkh dhundlayi hui thi shehar dhundlaya na tha
yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi adeem ,
bhool jane ke siwa ab koi bhi chara na tha
No comments:
Post a Comment