Aaj nahi guzar raha ek pal kash tum aa jate
bahot tanha hun main aaj kaash tum aa jate,
Kabhi khud ko itna kamzor na hone diya maine,
Par aaj bikhar gaya hun main, kash tum aa jate,
Tumhi se milta hai hausala harpal mujhe,
Chahiye aaj bahon ka sahara, kaash tum aa jate,
Barson se jee raha hun bin tumhare,
Aaj nahi guzar raha ek pal kash tum aa jate,
Waqt ki raftar bhi jaise tham si gayi hai,
Tham na jaye meri sans kaash tum aa jate
No comments:
Post a Comment