Dil Se

Dil Se

Monday, May 21, 2012

Jaan-e-Aarzu

.....::: Jaan-e-Aarzu :::.....


Main aarzu_e_jaan likhon ya jaan_e_aarzu
Tu hi bata de naaz se emaan_e_aarzu
Aanshu nikal rahe hain tasawwur main ban k phool
Shahdaab ho raha hai gulistan_e_aarzu
Emaan wa Jaan nisaar teri ek nigah par
Tu jaan_e_ aarzu hai tu emaan_e_aarzu
Hone ko hai talu,Saba_e_ shab wasaal
Bujhe to hain chirag shabestan_e_aarzu
Ek woh ke aarzuon pe jete hain umrbhar
Ek ham k hain abhi se pasheyman_e_ aarzu
Aankhon se joye khun hai rawaa dil hai dag dag
Dekhe koi bahaar_e_ gulistaan_e_aarzu
Dil main nishat_e_rafta ki dhundali se yaad hai
Ya shama_e_wesl hai tah daman_e_aarzu
Hum ko zindagi ka bharosa naheen raha
Jab se luta chuke sard samaan_e_aarzu


No comments:

Post a Comment